na main samjha na aap aae kahin se

na main samjha na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se

chali aati hai honton par shikayat
nadamat tapki padti hai jabin se

agar sach hai hasinon mein talawwun
to hai ummid-e-wasl un ki nahin se

kahan ki dil-lagi kaisi mohabbat
mujhe ek lag hai jaan-e-hazin se

idhar lao zara dast-e-hinai
pakad den chor dil ka hum yahin se

junun mein is ghazab ki khak udai
banaya aasman hum ne zamin se

wahan aashiq-kushi hai ain-iman
unhen kya bahs 'anwar' kufr-o-din se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close