na manzilon ka tayyun na koi jada tha ajab the log safar ka magar irada tha unhen tha zoam-e-qayaadat ki jin ke hisse mein na thi nigah mein wusat na dil kushada tha wo shahsawar the ghode bhadak gae un ke main aaj hun sar-e-manzil ki pa-piyaada tha gham-e-hayat ko tum sah nahin sake warna hamara haal to tum se kahin ziyaada tha masarraton ke nagar ki tum ek shahzadi ghamon ke des ka main bhi to shahzada tha bhala fareb na khata to aur kya karta hansi labon pe thi lahja bhi us ka sada tha main jis ko paikar-e-sidq-o-safa samajhta tha pata chala ki wo rangin ek labaada tha