na masjid hai koi na charch hai na koi mandir hai agar ghar hai kahin us ka to tere dil ke andar hai zamane ki nazar ko wo bhala aae nazar kaise na us ka rang hai na rup hai na koi paikar hai parindon mein chahakta hai gulon mein wo mahakta hai hai us ki hi adakari jo ye qudrat ka manzar hai main hindu hun musalman tum ye hain insan ki baaten wo hai khaliq sabhi ka us ke aage sab barabar hai hai andaza mujhe aage safar mushkil bahut hoga magar jab ham-safar tu hai to phir kis baat ka dar hai