na nind aur na khwabon se aankh bharni hai ki us se hum ne tujhe dekhne ki karni hai kisi darakht ki hiddat mein din guzarna hai kisi charag ki chhanw mein raat karni hai wo phul aur kisi shakh par nahin khulna wo zulf sirf mere hath se sanwarni hai tamam nakhuda sahil se dur ho jaen samundaron se akele mein baat karni hai hamare ganw ka har phul marne wala hai ab us gali se wo khushbu nahin guzarni hai tere ziyan pe main apna ziyan na kar baithun ki mujh murid ka murshid 'uwais-qarni' hai