na pahunche hath jis ka zoaf se ta-zist daman tak suragh-e-khun ab is ka mar ke jae khak gardan tak sar-o-saman se hain ye be-sar-o-samaniyan apni ki hai josh-e-junun mera gareban-gir daman tak na ki ghaflat se qadr-e-dil abas ilzam dilbar par mata-e-khufta ke jaane ke sau raste hain rahzan tak ye hila bhi nahin kam maut ke aane ko gar aae na aae jo ki baalin par wo kya jaega madfan tak kuchh aisa ikhtilat aapas se uttha is zamane mein na qatil aae hai mujh tak na jae maut dushman tak meri mehnat ka zaea hona hi to ek qayamat hai ki baad-o-barq aafat mein rahenge mere khirman tak wafa ki nazr hai meri hi jaan-e-hasrat-aluda asar ki qadr hai meri hi aah-e-qafila-zan tak ghubar-e-dil kisi dhab se na qatil ka hua sabit ki saf us ki hawa ki tegh mujh se mere kushtan tak main apne hausle se aur wo apne jame se bahar na khanjar ka use khatka na yan sarfa hai gardan tak nahin hota rafu chaak-e-gareban-e-fana hargiz mangain charkh-e-chaarum se agar isa ki sozan tak giran-jaani chaman mein bhi nishana ho gai aakhir ki bar-e-dosh-e-gulban hai meri shakh-e-nasheman tak 'qalaq' marta hai aur hota hai matam ka ye hangama magar rona hai is ka tu na aaya bazm-e-shewan tak