na pawe chaal tere ki piyare ye dhalak dariya chala jawe agarche rowta mahshar talak dariya kahan aisa mubakki ho ki jawe ta-falak dariya nahin ham-chashm mere ashk ka mare hai jhuk dariya hua hai chashm-e-hairat dekh teri aab raftari kinare nahin raha hai khol in donon palak dariya bhar aawe aab-e-hasrat us ke munh mein jab lahar aawe agar dekhe tere in narm galon ke thalak dariya nahin hain ye hubab aate hain jo nazron mein mardum ki jalan mujh ashk ki sin dil mein rakhta hai phalak dariya agar ho koh to rele sin is lashkar ke chal jawe kahan sakta hai mujh anjhuwan ki faujaan sin atak dariya asar karne ka nahin sangin-dilan mein rowna hargiz karare sakht hain be-ja raha hai sar patak dariya yaqin aaya kiya jab us ke tain pani sin bhi patla hamare ashk ki garmi mein kuchh rakhta tha shak dariya nahin mumkin hamare dil ki aatish ka bujha sakna kare gar abr-e-tufan-khez kun aa kar kumak dariya na howe 'abru' khana-kharabi kyun ki mardum ki kya anjhuwan mein mere ab sama sin ta-samak dariya