na pher yun nigah tu karam zara sa rahne de hamara rishta hai abhi bharam zara sa rahne de bichhadne key wajah thi kya ye bhul jate hain magar jo us ke sath hai juda wo gham zara sa rahne de teri khushi ke waste mein sau sau bar mar-mitoon tu is junun-e-ishq ko sanam zara sa rahne de tu ja raha hai chhod ke to ja ye hai khushi teri magar meri in aankhon ko to nam zara sa rahne de akele-pan ye khali ghar ye sofa mez yaaden khat hai in se nata aaj bhi bharam zara sa rahne de karam bada ho ye tera jo meri jholi tu bhare ye rukha-pan ye ruthana sitam zara sa rahne de yaqin hai phir milenge hum kahin kisi jahan mein bada hi pyara khwab hai sanam zara sa rahne de