na puchh hijr mein jo kuchh hua hamara haal jise na ishq ho wo jaane kya hamara haal yaqin hai ki kahenge wo ham-safiron se qafas mein dekh gai hai saba hamara haal ajab hai is ka jo ab tak nahin suna us ne fasana-e-sar-e-bazar tha hamara haal gila yahi hamein qasid se hai ki us gul ko na khat diya na zabani kaha hamara haal kabhi to ghash pe ghash aae kabhi lagi hichki tere firaq mein kya kya hua hamara haal kahan talak na haya degi rukhsat-e-guftar kabhi to puchhega wo mah-laqa hamara haal