na puchh manzar-e-sham-o-sahar pe kya guzri

na puchh manzar-e-sham-o-sahar pe kya guzri
nigah jab bhi haqiqat se aashna guzri

hamare waste virani-e-nazar har su
hamin ne dasht sajae hamin pe kya guzri

na jaane kaisi haqiqat ka aaina hun main
nazar nazar mere nazdik se khafa guzri

ye zard ho gae kaise hare bhare ashjar
jo log sae mein baithe the un pe kya guzri

ghurub hoti rahin us ki nekiyan din mein
har ek raat gunahon ki be-saza guzri

jala raha tha sar-e-sham mishalen koi
tamam raat ulajhti hui hawa guzri

na dekh paoge be-manzari ujalon ki
ye raat dhalne lagi to koi sada guzri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close