na puchho kaise shab-e-intizar guzri hai bhala ho dil ka bahut be-qarar guzri hai hazar maslihaten jis mein kar-farma hon wo ek nigah-e-karam hum pe bar guzri hai hai istilah-e-mohabbat mein jis ka nam junun wo ek rasm badi paedar guzri hai zarur us ne tere pairahan ko chuma tha jo is taraf se saba mushk-bar guzri hai wo baghban bhi koi baghban hai jis ki hayat rahin-e-minnat-e-fasl-e-bahaar guzri he luta hai kaun gharib-ud-dayar raste mein ye kis ke gham mein saba sogwar guzri hai nisar us pe hun main jis ki zindagi 'saqi' bashar ke auj ki aaina-dar guzri hai