na raha gul na khar hi aakhir ek raha husn-e-yar hi aakhir ab jo chhute bhi hum qafas se to kya ho chuki wan bahaar hi aakhir aatish-e-dil pe aab le dauda dida-e-ashk-bar hi aakhir zid se naseh ki main ne kar dala jeb ko tar tar hi aakhir kyun na hun tere dar pe hona hai ek din to ghubar hi aakhir kaam aaya na jae sham-e-mazar ye dil-e-dagh-dar hi aakhir shama-ru par misal-e-parwana ho gae hum nisar hi aakhir wo na aaya idhar 'hasan' afsos rah gaya intizar hi aakhir