na raha shikwa-e-jafa na raha ho ke dushman bhi aashna na raha bewafa jaan-o-mal be-sarfa kya raha jab ki dil-ruba na raha sabhi aghyar hain sabhi aashiq e'timad us ka ek ja na raha khak tha jis chaman ki rang-e-iram patte patte ka wan pata na raha wasl mein kya visal mushkil tha yaad par roz hijr ka na raha khat mera wan gaya gaya na gaya sar-e-qasid raha raha na raha dil mein rahta hai kaun gham ke siwa koi is ghar mein dusra na raha ghair aur shikwa-e-jafa tum se hae main qabul-e-wafa na raha kya hua kyun 'qalaq' ko rote ho koi is dahr mein sada na raha