na rahguzar mein thi teri na kaenat mein thi

na rahguzar mein thi teri na kaenat mein thi
safar ki sari saubat meri hayat mein thi

na jaane kitne hi manzar the naqsh aankhon mein
hamari soch ki manzil kisi ki zat mein thi

mujhe kahan se kahan le gai zara dekho
wo ek tanz ki khushbu jo us ki baat mein thi

hamein jo phul banaya to dete khushbu bhi
hamari mitti ai but-gar tumhaare hath mein thi

abhi to sarhad-e-sahil pe tha qadam us ka
ajib sansani lekin hamari zat mein thi

mere badan ki hararat bhi le gai 'paikar'
wo kali raat jo barson se meri ghat mein thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close