na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi zamin hamari badal gai hai agarche hai aasman baqi shab-e-guzishta ke saz o saman ke ab kahan hain nishan baqi zaban-e-shama-e-sahar pe hasrat ki rah gai dastan baqi jo zikr aata hai aakhirat ka to aap hote hain saf munkir khuda ki nisbat bhi dekhta hun yaqin rukhsat guman baqi fuzul hai un ki bad-dimaghi kahan hai fariyaad ab labon par ye war par war ab abas hain kahan badan mein hai jaan baqi main apne mitne ke gham mein nalan udhar zamana hai shad o khandan ishaara karti hai chashm-e-dauran jo aan baqi jahan baqi isi liye rah gai hain aankhen ki mere mitne ka rang dekhen sunun wo baaten jo hosh udaen isi liye hain ye kan baqi tajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar' abhi middle pas tak nahin hai bahut se hain imtihan baqi