na sahra hai na ab diwar-o-dar hai chaman mein naghma-gar saz-e-sahar hai suragh-e-karwan-e-rang-o-bu se saba aawara-e-gard-e-safar hai asiro ab dar-e-zindan karo baz sar-e-nakhun koi uqd-e-guhar hai nadimo dad do ahl-e-junun ko namak-dan zakhm-e-pa hai zakhm-e-sar hai