na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha zamane bhar ki nigahon ka main nishana tha bhula na paya use jis ko bhul jaana tha wafaon se mera rishta bahut purana tha jo aks-e-ghair ki tabish mein dhundta tha jila us aaine ko bikharna tha tut jaana tha dariche mazi ke khulne lage to yaad aaya yahin kahin kisi dali pe aashiyana tha sile mein kya mujhe milta jo aur ruk jata tere khutut ko ek roz to jalana tha jahan pe tair-e-fikr-e-sukhan ke par silte wahin pe aql-o-khirad ka naya thikana tha lahu ka rang chatanon ke aabshaaron mein unhen nasheb mein dariya-e-khun bahana tha qaba-e-surkh siyah baadalon ne odhi thi kisi ke jurm se parda unhen uthana tha wo ek halke tabassum ki kat sah na saka sitam ka war bhi kis darja buzdilana tha tamam shorishen saffakiyan uruj pe thin bil-akhir un ko adalat se chhut jaana tha dukan lagae hun tute hue khilaune ki ki bhulta nahin bachpan bhi kya zamana tha