na sochna ki zamane se dar gae hum bhi teri talash mein ghairon ke ghar gae hum bhi chura lin hum se bhi us khud-parast ne aankhen dil-e-habib se aakhir agar gae hum bhi pasija dil na kisi ka hamare ashkon se har aastan pe liye chashm-e-tar gae hum bhi jo dekha kaliyon ko tujh par nisar hote hue to rang ban ke faza mein bikhar gae hum bhi jab us ki zauq-e-nazar ka hua bahut charcha wufur-e-shauq se ek din sanwar gae hum bhi bahut se ishq ki rahon mein pul-siraat aae tumhaara nam liya aur guzar gae hum bhi muhaal tha ki hum ai 'josh' zinda rah sakte firaq-e-yar mein ek roz mar gae hum bhi