na-tawan wo hun ki dam bhar nahin baitha jata wo bulate to abhi uth ke main dauda jata but-kade mein bhi gaya kaba ki jaanib bhi gaya ab kahan dhundhne tujh ko tera shaida jata kyun ji kyun ghair ki baaton ka to dete ho jawab hum jo kuchh puchhen to munh se nahin phuta jata yak-ba-yak tark na karna tha mohabbat mujh se khair jis tarah se aata tha wo aata jata kah ke ye tal gae baalin se ayaadat ko jo aae ab tera haal-e-pareshan nahin dekha jata khwahish-e-dasht-nawardi kabhi hoti na mujhe bewafa tu mere ghar par kabhi aata jata khak phulun-phalun is gulshan-e-viran mein 'haqir' bagh-e-hasti se khizan ka nahin khatka jata