na to khauf roz-e-jaza ka ho wahi ishq hai na malal radd-e-dua ka ho wahi ishq hai main hun aaina tera aks hai meri ruh mein koi daera na ana ka ho wahi ishq hai nahin aarzu meri aarzu ko sune khuda asar aarzu mein bala ka ho wahi ishq hai na hon khwahishen na gila koi na jafa koi na sawal ahd-e-wafa ka ho wahi ishq hai