na yun bhi jhankiye sarkar ek samundar hai ki meri aankhon ke us par ek samundar hai hamari tishna-dahani bujhi hai khanjar se wo aur hain jinhen darkar ek samundar hai safina-ha-e-mohabbat ko gharq kar degi ye jo hai bich mein diwar ek samundar hai tum aao laut ke tum ko gale laga lunga ki mera dil bhi mere yar ek samundar hai nizam-e-shahar-e-bahaaran hai kis ke hathon mein jahan bhi dekhiye khun-bar ek samundar hai ghazal sunai jo sarwat ko main ne ai 'hashim' wo bole sun ke sukhan-kar ek samundar hai