nadan hoshiyar bane jin ke rup se wo bhi jhulas gae hain hawadis ki dhup se hamrah ajnabi ke bahut dur tak gaya chehra tha milta julta zara un ke rup se kaisi hawa ye aai gulistan se garm garm kya phul shoale ban gae sawan ki dhup se kya kya na hadse mere dil par guzar gae lekin shaguftagi na gai rang-rup se 'wajid' use na manzil-e-maqsud mil saki ghabra ke rah gaya jo masaib ki dhup se