nae charagh ki lau panw se lipaTti hai

nae charagh ki lau panw se lipatti hai
magar wo raat kahan raste se hatti hai

main khanqah-e-badan se udas laut aaya
yahan bhi chahne walon mein khak batti hai

zara sa sach bhi kisi se kaha nahin jata
zara si baat pe gardan hamari katti hai

ye kis ke panw rakhe hain hawa ke sine par
agar main sans bhi leta hun umr ghatti hai

abhi bahut hain andheron ko pujne wale
yahan charagh bujhao to raat katti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close