nae hain wasl ke mausam mohabbaten bhi nai

nae hain wasl ke mausam mohabbaten bhi nai
nae raqib hain ek ek adawaten bhi nai

jawan dilon mein panapte hain ab nae ruman
hasin chehron pe likkhi ibaraten bhi nai

wo mujh ko chhu ke pasheman hai ajnabi ki tarah
adaen us ki achhuti shararten bhi nai

wo jis ne sar mein diya inqalab ka sauda
mere lahu ko wo bakhshe hararaten bhi nai

khushi mein hans nahin sakte ye gham ki gham bhi nahin
hamare karb anokhe aziyyaten bhi nai

nai rawish nae imkan nirala tarz-e-'sukhan'
hamare lafzon se raushan bashaaraten bhi nai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close