nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena agar manzil nazar aae mujhe gumrah kar dena mujhe ye kashmakash ye shor-o-ghul sairab karte hain meri kashti ko dariya aur dariya ko bhanwar dena meri aawargi hi mere hone ki alamat hai mujhe phir is safar ke baad bhi koi safar dena meri parwaz ki hasrat yaqinan zor maregi agar udne lagun to mere baal-o-par katar dena suna hai dasht mein aage bahut tarik hai rasta mere rakht-e-safar mein chand ya khurshid dhar dena bujha dena zara pahle diya meri samaat ka kabhi meri rihai ki mujhe jab tum khabar dena juda karna mere is khwab se tum dafatan mujh ko judai ki mujhe ghadiyan khudaya mukhtasar dena