nae nairang dikhlata hai ye charkh-e-kuhan kya kya jahan mein gul khilaegi abhi khak-e-chaman kya kya jahan ki sar-bulandi ka maal-e-kar pasti hai nashat-o-aish-e-munim par hai muflis khanda-zan kya kya usi husn-e-azal ki lauh-e-alam par hain tahriren wahi ek ishq ka mazmun hai andaz-e-sukhan kya kya abhi se rah-naward-e-ishq himmat haar baithe hain guzarni hain abhi to ghatiyan un ko kathan kya kya