nafas nafas zindagi ke ho kar ajal ki tashhir kar rahe hain

nafas nafas zindagi ke ho kar ajal ki tashhir kar rahe hain
ye kis jatan mein lage hain hum sab kise jahangir kar rahe hain

kahan pata tha teri shafaq hi pas-e-ghubar-e-zawal hogi
tujhi ko mismar kar diya tha teri hi tamir kar rahe hain

rah-e-shahadat pe sar ke hamrah ek aaseb chal raha hai
hamin na niklen yazid-e-dauran ki khud ko shabbir kar rahe hain

sadaen deti hui khalaen kahin zaminon tak aa na jaen
ye khwab-kari-e-pur-takalluf bara-e-tabir kar rahe hain

agarche pahle yaqin kam tha par ab to tasdiq ho chuki hai
na jaane radd-e-amal mein kyun hum mazid takhir kar rahe hain

hamare sare gunah waiz maqala-e-iftitahiya hain
abhi to hum nama-e-amal ka muqaddama tahrir kar rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close