nafrat jo hai dil mein lab-e-khandan mein nahin hai jo baat hai mazmun mein wo unwan mein nahin hai kya jaaniye kal pichhle pahar kaisi hawa thi khushbu ka pata aaj gulistan mein nahin hai ai masjid-e-aqsa tu jale aur main dekhun kya azm-e-tahaffuz bhi nigahban mein nahin hai matlub hai wo jins jo nayab bahut hai us chiz ki khwahish hai jo imkan mein nahin hai jo soch sake mere liye meri tarah se wo shakhs mere halqa-e-yaran mein nahin hai ai 'rashk' ho jis se dil-e-dariya mutalatum aisa koi andaz hi tufan mein nahin hai