nafrat ke sath pyar ki miThi tarang hai

nafrat ke sath pyar ki mithi tarang hai
manjha hai kat-dar rangili patang hai

suraj ki ek kiran ko tarasta hai lafz lafz
meri ghazal ke chehre pe raaton ka rang hai

zarre ki aab-o-tab ka pechida karobar
jis ki jhalak ko dekh ke suraj bhi tang hai

mere khulus ke liye us mein jagah kahan
dil us ka qabr ki tarah tarik-o-tang hai

hoti hai kis ki jit 'raza' dekhte raho
mauj-e-ghazab ki aaj kinare se jang hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close