nafraten na adawaten baqi hain gar rahengi to ulfaten baqi rah hi jate hain sab fasane yahan hain jo baqi mohabbaten baqi timtimata diya hai bujhne ko rah gain kuchh hi saaten baqi khatm hongi na ye mulaqaten yar zinda to sohbaten baqi jin pe nazan the ye zamin o falak ab kahan hain wo suraten baqi aaj bhi hain bahut se na-bina dekhi jin mein basarten baqi ban ke tawiz kuchh gale mein hain bhule quran ki suraten baqi hashr mein aur lahad mein jaana hai rah gain do hi hijraten baqi auj to bandagi mein muzmar hai hech sari hain rifaten baqi