nafs se jo lada nahin karte ruh par wo jila nahin karte kyun na ho phir fasad duniya mein log khauf-e-khuda nahin karte ahl-e-dil ahl-e-zarf ahl-e-nazar baat dil ki kaha nahin karte un ka jina abas hai duniya mein jo kisi ka bhala nahin karte bazm-e-ishrat mein aashiqan-e-tarab nala-e-dil suna nahin karte dosti kya karun main phulon se ye hamesha khila nahin karte dars lo tutte hababon se sar utha kar chala nahin karte ai 'jali' dahr ke satae hue zindagi ki dua nahin karte