naghma-e-ishq-e-butan aur zara aahista zikr-e-nazuk-badanan aur zara aahista mere mahbub ki yaadon ke bhadakte hain charagh ai nasim-e-guzaran aur zara aahista jis taraf se wo guzarte hain sada aati hai ai qarar-e-dil-o-jaan aur zara aahista dil har ek gam pe logon ne bichha rakkhe hain aur ai sarw-e-rawan aur zara aahista kucha-e-dost mein aahista-rawi ke ba-wasf dil ye kahta hai yan aur zara aahista un pe mauj-e-nafas-e-gul bhi giran guzre hai pursish-e-gham-zadagan aur zara aahista bandh kar ahd-e-wafa koi gaya hai mujh se ai meri umr-e-rawan aur zara aahista kam ibaadat se nahin zikr buton ka bhi 'aziz' bare tausif-e-butan aur zara aahista