naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya lakh chhupaya jazb-e-ishq fash ye raaz ho gaya bazm mein mushtahar hui meri hadis-e-arzu shola-e-jaan bhadak utha naghma-e-saz ho gaya fash na kar saka koi raaz tere wajud ka fash mujhe jo kar diya fash ye raaz ho gaya banda-e-be-nawa badhe jinn-o-malak se tha ajab lutf-e-karim ka magar zarra-nawaz ho gaya mere gunahon se siwa rahmaten hain teri karim lakh khataon par bhi tu banda-nawaz ho gaya farhat-e-bandagi mili tabish-e-zindagi mili dil se jo ek bar main mahw-e-namaz ho gaya 'taj' niyaz-e-ashiqi raaz-e-numud-e-husn hai jis pe ye raaz khul gaya khud hi wo raaz ho gaya