nahin jati agar ye aasman tak to phir is chikh ki had hai kahan tak chalo pani se wo shoala nikalen uthae jo zamin ko aasman tak ab agle mod par patal hoga yaqin se aa gaya hun main guman tak zamane ko samajh paya nahin hun main samjhata rahun khud ko kahan tak ajab ek khel khela ja raha hai na tha jis ka hamein koi guman tak bahut hi khubsurat rasta hai jo sidha ja raha hai raegan tak zamin ke bab mein kuchh mashware hain zara main ja raha hun aasman tak