nahin kam afw-e-yazdani bahut hai gunahon par pashemani bahut hai koi to hadisa guzra hai dil par shab-e-gham aaj nurani bahut hai dilon par tah-ba-tah zulmat ke parde jabin par nur-e-imani bahut hai idhar hi tishna-e-didar kam hain udhar to jalwa-samani bahut hai kise ras aae sauda-e-mohabbat munafea kam pareshani bahut hai zaban hai rahn-e-zikr-e-hur-o-ghilman khayal-e-pak-damani bahut hai karo 'mahmud' qismat par qanaat jo mil jae ba-asani bahut hai