nahin sharik azabon ka jaan-e-jaan koi

nahin sharik azabon ka jaan-e-jaan koi
khuda gawah nahin hai nahin yahan koi

wo dekho banh pasare hai samne manzil
faqat guman hai ki hai rah darmiyan koi

chubhan si kaise piro di hai us ne sanson mein
shikayaton mein numayan hai mehrban koi

inayaten hain teri dhup sard mausam ki
badhe jo had se to baithe bhala kahan koi

raha wo gosh-bar-awaz aur hamein barson
khayal tak nahin aa ya ki hai yahan koi

siwae halqa-e-yaran mein apni shohrat ke
hamari zat ka dushman yahan kahan koi

har ek samt khamoshi ka kufr chhaya hai
hamari zat ke sahra mein de azan koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close