nahin sone diya pal bhar bhi sari raat kutton ne

nahin sone diya pal bhar bhi sari raat kutton ne
sunae sainkadon parkar ke naghmat kutton ne

kisi ki tang li hai aur kisi ka hath kutton ne
mahalle bhar se hasil ki hai ye saughat kutton ne

haqiqat ki na ki logon se tahqiqat kutton ne
lagae hum pe be-buniyaad ilzamat kutton ne

bahadur tha shikari tha magar ghar ki taraf bhaga
kiya raste mein jab pichha mera chhe sat kutton ne

bhala insan ho ke un ke munh lagta bhi main kaise
agarche khub bhadkae mere jazbaat kutton ne

kabhi ek thikari bhi to ghade ko phod deti hai
haqiqat hai ki di hai sher ko bhi mat kutton ne

khilaya main ne aur mera hi kha ke mujh pe ghurrae
dikha di jate jate apni sab auqat kutton ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close