nai duniya tera charcha bahut hai

nai duniya tera charcha bahut hai
mera beta bhi aawara bahut hai

main shayad pagalon sa lag raha hun
wo mujh ko dekh kar hansta bahut hai

ye bikhri pattiyan jis phul ki hain
wo apni shakh par mahka bahut hai

simat jaen to dushman ke muqabil
hamari qaum ka bachcha bahut hai

samundar se muafi chahte hain
hamari pyas ko qatra bahut hai

usi ke sae mein kab se khada hun
wo ek diwar jo khasta bahut hai

main kab tak dar-ba-dar phirta rahunga
tumhaare ghar ka darwaza bahut hai

ghazal bhaarat mein likkhi ja rahi hai
magar ham-sae ka charcha bahut hai

use ustad kahta hai zamana
jo padhta kam hai aur likhta bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close