nakaam meri koshish-e-zabt-e-alam nahin yun mutmain hun jaise mujhe koi gham nahin tarikiyon mein aaj bhi gum hai wo rahguzar jis ko nasib aap ke naqsh-e-qadam nahin is daur mein ki jis mein hai jins-e-wafa ka qaht hum se wafa-shiar jo baqi hain kam nahin tere siwa kisi se ujalon ki bhik le kam-zarf is qadar to meri sham-e-gham nahin bikhre hue se 'rahi' ye auraq-e-zindagi apni hayat zulf-e-pareshan se kam nahin