nakaami-e-ishq ya kaamyabi donon ka hasil khana-kharabi aankhen siyah-mast chehra kitabi baada shabana jam aaftabi duniya-o-din se begana ho ja diwana ho ja ban ja sharabi un ka bahana barjasta-goi mera tabassum hazir-jawabi din-dar kar ke kafir bana de ye parda-dari ye be-hijabi hain takht-e-dil par sarkar warna takhta ulat den hum inqilabi