nakhl-e-umid-o-arzu be-barg-o-bar hai nakaami-e-hayat pe dil sharmsar hai daman-e-sabr hijr mein go tar-tar hai wade ka un ke phir bhi hamein eatibar hai fikr-e-jahan mujhe na gham-e-rozgar hai phir bhi na jaane kis liye dil be-qarar hai sham-e-firaq shiddat-e-gham be-shumar hai mushtaq-e-did aankh bhi ab ashk-bar hai gulshan mein un ko dekh ke mahw-e-khiram-e-naz samjhi nigah-e-shauq ki raqs-e-bahaar hai yun to hazar bar use aazma chuke phir eatibar-e-wada-e-ghaflat-shiar hai muddat hui hai qat-e-talluq kiye 'nadim' us jaan-e-intizar ka phir intizar hai