nami thi aankh mein lekin ek etimad bhi tha

nami thi aankh mein lekin ek e'timad bhi tha
mujhe to hausla jine ka us ke baad bhi tha

bujhe hue dar-o-diwar jaante honge
kabhi yahan tere jalwon ka iniqad bhi tha

wo ek ism-e-tawalat jo shab ki kat sake
wo ism aalam-e-wahshat mein mujh ko yaad bhi tha

khizan-nasib sahi aaj shakh-sar-e-hayat
hawa ka aana kabhi sehn-e-dil mein sad bhi tha

sitara dekh ke nikli thi main safar ke liye
magar sitare ko taqdir se inad bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close