naqab us ne rukh-e-husn-e-zar pe dal diya ki jaise shab ka andhera sahar pe dal diya samaaten huin pur-shauq hadson ke liye zara sa rang-e-bayan jab khabar pe dal diya tamam us ne mahasin mein aib dhund liye jo bar-e-naqd-o-nazar dida-war pe dal diya ab is ko nafa kahin ya khasara-e-ulfat jo dagh us ne dil-e-mo'tabar pe dal diya qarib o dur yahan ham-safar nahin koi teri talab ne ye kis rahguzar pe dal diya husul-e-manzil-e-jaanan se hath dho lenge kuchh aur bojh jo pa-e-safar pe dal diya jo ham-azab tha us ki hi chhanw mein aa kar khud apni dhup ka lashkar shajar pe dal diya bhatak raha tha jo asrar-e-fan ki wadi mein uruj de ke faraaz-e-hunar pe dal diya be-e'tidal the khud un ke khatt-o-khal 'zafar' har ittiham magar shishagar pe dal diya