naqqad apne aap ka be-lag aisa kaun hai hona mera ek wahm hai dekhun ye kahta kaun hai wo aaftab-e-husn hai jalwe lutae jaega us ko ab is se kya gharaz mushtaq kitna kaun hai wahdat hai ye bhi didani main hun nazar wo raushni go ye girah khulti nahin aaina kis ka kaun hai main apne gumbad ka makin saya sa dekha dar gaya ab kya bitaun kya suna jab main ne puchha kaun hai bas ek hawa ka pher hai wo bhi hawa ho jaega main sochta rah jaunga mujh mein ye mujh sa kaun hai meri nazar jis par padi ek rabton ka dher tha phir wo jo apne aap ko kahta hai tanha kaun hai ab fikr is ki kijiye duniya rahegi ya nahin ab is ko jaane dijiye duniya mein kaisa kaun hai tah ki lagan ek dhong hai bas tairna aata nahin tah karne wala sath ko ye shakhs hota kaun hai ye bazm-e-danish hai 'muhib' taswir-e-nafs-e-mutmain is bazm mein chun-o-chara shaer ki sunta kaun hai