naqsh-bar-ab nam hai sail-e-fana maqam

naqsh-bar-ab nam hai sail-e-fana maqam
is khanuman-kharab ka kya nam kya maqam

har roz taza manzil o har shab naya maqam
mohlat nahin qayam ki duniya hai kya maqam

ja mil gai jise teri diwar ke tale
hai us ko gor-e-tang bhi ek dil-kusha maqam

darte hain hum to nam bhi lete hue tera
tu hi bata ki puchhiye kyunkar tera maqam

insan ki sarisht mein hai uzr-e-lang-e-zoaf
sabit hua ki dur hai mujh se mera maqam

andaza hi ghalat tha magar imtiyaz ka
yani mahall-e-ghair hi tha aap ka maqam

khilta nahin kabhi na kabhi saf hi rahe
kis tarah ho subut ki dil hai tera maqam

waiz munazat ka sabab mujh mein tujh mein kya
masjid tera mahal hai mera mai-kada maqam

yan wan idhar udhar yun hi gir-pad ke ki basar
misl-e-ghubar-e-rah raha ja-ba-ja maqam

ai ahl-e-dair zikr-e-haram tum se ya karen
puchho buton hi se kabhi kaba bhi tha maqam

kya kya bayan jahan ke karen amn-o-chain ko
us ke bhi dar pe apna to muddat raha maqam

kya jaaniye 'qalaq' ki irada hai apna kya
matlab se kuchh safar na sar-e-muddaa maqam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close