naqsh karta ram-o-raftar inan-gir ko main kaisa chhankata hua chalta hun zanjir ko main ghaib-o-ghaflat ka idhar jashn mana lun to chalun abhi takhir samajhta nahin takhir ko main khamushi meri kuchh aisi hadaf aagah nahin baat be-baat chala deta hun is tir ko main satwan din magar achchha nahin guzra mera chhe din ultata raha parda-e-tamir ko main mauj-e-khun mujh se bas ab sham ki duri par hai kitne din aur bacha sakta hun shamshir ko main darmiyan mera ilaqa hai bataun na bataun ek taswir ka dukh dusri taswir ko main phir wo satr aati hai jab asal likhi jati hai mujh ko tahrir mita aati hai tahrir ko main kahan le jaane ko thi panw ki zanjir mujhe kahan le aaya magar panw ki zanjir ko main nazm ho baitha hun aahang-daron ke hathon nazm karta hua ek nala-e-shab-gir ko main