naqsh pani pe banaya kyun tha jab banaya to mitaya kyun tha gae waqton ka hai ab rona kyun aae waqton ko ganwaya kyun tha baith jaana tha agar misl-e-ghubar sar pe tufan uthaya kyun tha meri manzil na kahin thi to mujhe dasht-dar-dasht phiraya kyun tha wo na hamdam tha na dam-saz koi haal-e-dil us ko sunaya kyun tha dur rahna tha jab us ko 'mohsin' mere nazdik wo aaya kyun tha