naqsh takmil tak pahunchta hai aks bas aap ka ubharta hai ab mohabbat ki aur had kya ho meri beti mein tu ubharta hai meri sanson mein hai teri khushbu meri mehndi mein tu hi rachta hai dur ho kar bhi mujh se dur nahin meri sanson mein tu mahakta hai ek basti jalai thi us ne ab ke hakim hai kya wo karta hai wo jo ilm-o-adab mein baune hain un ka sikka sukhan mein chalta hai dil ki mizrab par 'rabab' ab ke dekhiye saz kya nikalta hai