nariyal ke darakhton ki pagal hawa khul gae baadban laut ja laut ja sanwli sarzamin par main agle baras phul khilne se pahle hi aa jaunga garm kapdon ka sanduq mat kholna warna yaadon ki kafur jaisi mahak khun mein aag ban kar utar jaegi subh tak ye makan khak ho jaega lawn mein ek bhi bel aisi nahin jo dehati parinde ke par bandh le jangali aam ki jaan-lewa mahak jab bulaegi wapas chala jaega mere bachpan ke mandir ki wo murti dhup ke aasman pe khadi thi magar ek din jab mera qad mukammal hua us ka sara badan barf mein dhans gaya anginat kale kale parindon ke par tut kar zard pani ko dhakne lage fakhta dhup ke pul pe baithi rahi raat ka hat chup-chap badhta gaya