naseh na bak zyaada mera man ye sukhan mujh seti chhote ishq hai imkan ye sukhan tasbih namaz roza se mujh ko nahin hai kaam main but-parast hun mera pahchan ye sukhan har roz mujh ko ishq se kyun rokta hai tu aakhir ko kho raha hai teri jaan ye sukhan dildar dilruba hain mere dal ke mushtari main in ka hun meri jaan ye sukhan itne mein mera yar mere pas aa gaya kahne laga ki kya hai mehrban ye sukhan us be-haya se kahe ko khali karo ho maghz ye bewaquf hai jo kahe aan ye sukhan talib ko marifat ke sabhi chiz hain muaf akasr ke kah gae hain qadr-dan ye sukhan al-qissa ho khamosh kiya main ne ye yaqin jab munh se yar ke pada mujh ko kan ye sukhan behtar hai sab se dosti apni khuda ki 'nayan' feal abas hai yari gaihan ye sukhan