naseho dil kis kane hai kis ko samjhate ho tum

naseho dil kis kane hai kis ko samjhate ho tum
kyun diwane ho gae ho jaan kyun khate ho tum

mujh se kahte ho ki main hargiz nahin pita sharab
main tumhaara dost ya dushman ki sharmate ho tum

aur jo baithe rahen to un se tum mahzuz ho
jab hamin aate hain to ghabra ke uth jate ho tum

lo ji ab aaram se baithe raho jate hain hum
phir na aawenge kabhi kahe ko jhunjhlate ho tum

raat ko tum jis jagah the hum ko sab malum hai
jhut kyun bakte ho kahe ko qasam khate ho tum

munh bana meri taraf aaine ka bosa liya
wah wa achchhi tarah se roz dahkate ho tum

ek to main aap hun be-zar apni jaan se
dusre bak bak ke mere ji ko ghabraate ho tum

ai kabutar ai saba ai nala ai fariyaad aaj
kahiyo dilbar se agar kuche talak jate ho tum

'soz' ka dil khush to ho jata hai wadon se miyan
par ghazab ye hai ki waqt hi par mukar jate ho tum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close